Ik diya dil main jalana bhi, bujha bhi dena
Yaad karna bhi usay roz, bhula bhi dena
Kya kahun meri chaahat hai, ya nafrat uski
Naam likhna bhi mera, likh ke mita bhi dena
Phir na milnay ko bicharta hoon tujhse lekin
Mud ke dekhun to palatnay ki dua bhi dena
Khat bhi likhna usay maayoos bhi rehna us se
Jurm karna bhi magar khud ko saza bhi dena
Mujh ko rasmon ka takaluf bhi gawaara lekin
Jee main aaye to ye deewar gira bhi dena
Us se mansoob bhi kar lena puraanay qissay
Us ke baalon main naya phool saja bhi dena
Soorat-e-naqsh-e-qadam, dasht main rehna Mohsin
Apne honay se na honay ka pata bhi dena
No comments:
Post a Comment