Ab yeh sochon tu bhanwar zehen mein par jatay hain
Kaise chehray hain jo miltay hee bichar jatay hain
Kyon tere dard ko dain tohmat e viraani e dil ?
Zalzalon mein tu bharay shehar ujar jatay hain
Mosam-e-zard mein ik dil ko bachaoon kaisay ?
Aise ruut main to ghanay pair bhi jhar jatay hain
Ab koi kya mairay qadmon ke nishaan dhonday ga
Tez aandhi main tu khaimay bhi ukhar jatay hain
Shughal-e-arbaab-e-hunar poochtay kaya ho? keh ye log
Patharon mein bhi kabhi aainay jar jatay hain
Soch ka aaina dhundla ho tu phir waqt ke saath
Chand chehron ke khad-o-khaal bigar jatay hain
Shidat-e-gham main bhi zinda hon to hairat kaisee ?
Kuch diye tund hawaon say bhi lar jatay hain
Woh bhi kya log hain “Mohsin” jo wafa ke khatir!
Khud tarasheeda asoolon pe bhi aar jatay hain!!
No comments:
Post a Comment